Yaro aasnsu main sab ke aaj le jaane aaya hun
Yaro aasnsu main sab ke aaj le jaane aaya hun
Mehfil e dunya udaas hai hansaane aaya hun
Mundamil nahin hotey nasoor zakhm kyon
Main dard e dil ka darmaan bataney aaya hun
Aayeney dikhlayen sab ko vaaiz o falsafi
Main tumhaare sang lutf uthane aaya hun
Roothna to pesha sa ban gaya hai aaj
Main auron ko nahin khud ko manane aya hun
Ja chuki hai unsiyat jaane kyon sab se door
Naghmaat main mahabat ke sab ko sunane aya hun
Badle hain zamaane bahot badle hain bashar bhi
Khud ko main tamaashe dikhlaney aya hun
Mah o anjum na farozaan na raushan hai falak
‘Sahil’ main to mahz khud ko sulaane aya hun
Ashok sawhny Sahil