Shabnam barse phoolon per to royen khaar be chaarey
Shabnam barse phoolon per to royen khaar be chaarey
Kaun jaane zeest men kaun kab jeetey kab woh haarey
Nujumi aur taaron per yaqin karey koi kaise
Kisey khabar lakir kab, giraaye kab sanwaarey
Uth te hain be saakhta baatin men valvalve
Udte jazbaat insan ke goya udte ghubaarey
Naam rishton ka aitmaad hai pehne jo yeh qaba
Ghaflat se bhi chaadar yeh badan se na utaarey
Jaan kisi ki leni to aasaan hai bahot, lekin
Bazm e hasti men kisi ko inteqaam na sudharey
Tanha dil aziyat se raat apni hai guzaarey
Sun lena sada tu ‘sahil’ jab woh tujhe pukaarey