ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Dil na roye to phir pashemaani kaisi

Dil na roye to phir pashemaani kaisi
Na ki jaaye be saakhta to mehrbaani kaisi

Rooh ka zahn se faasla milon door
Fikr se mahroom to phir roohaani kaisi

Jeet kaisi, shaamil jis men dhoka ho
Her pher to her pher hai, kaamraani kaisi

Talatum, tufaan, zalzalzale, sahil ghuroob
Khuda naraaz ho to hairaani kaisi

Zulmat men soney waalo aql ki suno
Bujh jaaye sham’a to raat mastaani kaisi

Jo bhool jaaye khud ko masrufiyat men apni
‘Sahil’, ghaafil woh kaisa, uski nadaani kaisi

Ashok sawhny Sahil

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *