Shabnam pyaas bujhaati hai
Shabnam pyaas bujhaati hai
Khwahish to tarsaati hai
Aawaaz dil ki sun lo yaro
Jeena woh samjhaati hai
Dhadkan dil ki ek ek
Zururi hai aur bahot nek
Farishtey bhi us ke aage
Ghutne kar dete hain tek
Jeena kahan aasaan hai
Insan, vahshi insan hai
Shukr hai khuda ka logo
Abhi tak woh mehrbaan hai
Qahr e khuda se dara kar
Faani hayaat ka socha kar
‘Sahil’, har nafas ko zeest maan
Sar jhuka kar chala kar
Ashok sawhny Sahil