Qismat hum se khafa hai, hum mubtala manaane men

Qismat hum se khafa hai, hum mubtala manaane men
Waqt kuchh to lagta hai yaro apni baat samjhaane men

Khuftagi insan ki to bila shak hai uski fitrat
To sotey huay zameer ko phir der na lagey jagaane men

Khatrnaak hai woh bahot, khatra bhi khud  ko zyada
Sarkash ana ko to hain mushkilen jhukaane men

Hai naazuk woh bahot dhaaga baandhta jo dosti ko hai
Phir ghaflat na ho yaro kabhi haath milaane men

Rishtah tera ai ‘sahil’ khuda se to mohkam hai zurur
Bhaley shaitaan ho masruf usey roz ba roz mitaaney men

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *