ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Khud ko naseehat

Khud ko naseehat

Dekhiye, Suniye, per khamosh rehiye
Na ho sakey bilkul to aagosh rehiye,
‘Sahil’, ab waqt tera to maazi men hai
Kh-moshi ke chaman men madhosh rehiye

Zamana hai jinka unhen ikhtiyaar hai
Dilon men unke tere liye pyaar hai
Per zamana hai unka, unhin ke faisle
Jab kashti hai unki to unka patwaar hai

Ab naseehaten teri hon apne liye
Auron ko tu ne hazaar sapne diye
Jiyen woh khushi se riza un ki apni
Jinhen tu ne kabhi they khilaune diye

Waqt tera hai ab masaraton ke liye
Sukoon o aaraam o muskaanon ke liye
Sitaron aur muntazir aasmaanon ke liye
Yaad e khuda aur mahz duaon ke liye.

Kar le jo kehta hai dil ab tera
Khayaal jo aayen jab ho savera
Guzregi shaam aur shab bhi teri
Khwabon men waqt ujala o andhera

Maazi. Past
Aagosh. Nearby. Close
Patwaar. Oar
Riza. Contentment pleasure
Masarraton. Joys. Happiness
Muskaan. Smile
Muntazir. Waiting
Mahz. Sirf. Only

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *