Mere zameer ne mujhe aaj salaam bheja

Mere zameer ne mujhe aaj salaam bheja
Saath saath ek chhota sa paighaam bheja

Tu to likhta hai ‘sahil’ jaane roz kya kya
Main ne tujhe aaj soch kar ek kalaam bheja

Padh lena jab chaahe tere dil men basa hai
Woh khat main ne mahz tere naam bheja

Meri sunta rahega to koi nuqsaan na hoga
Yeh mukhtasar sa main ne nizaam bheja

Yun samajh lena ke main ne aaj tujhe, ai dost
Jeene ka nuskha, ek payaam e aaraam bheja

Zameer. Conscience
Kalaam. Message
Mahz. Sirf
Nizaam. Intezaam. Arrangement
Nuskha. Prescription
Payaam e aaraam. Message of tranquility

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *