Kaun jhaank saka hai ‘sahil’ kisi dil ke andar koi
Kaun jhaank saka hai ‘sahil’ kisi dil ke andar koi
Kis ne dekha hai num chashm ka woh sumundar koi
Jeetna ho gar dil kisi ka to yaad rahe tumhen
Dayaar e dil tak pahunche baat ek mukhtasar koi
Aaj har ja jhagre fitne dekho, har su koi jahangir
Kaash ke aaye jahan men ab phir se khizar koi
Himmat sab se awwal hai mat haarna isey kabhi
Shikasta dil ko to na mila kahin gauhar koi
Bhoola hai ghaflat men insan is baat ko, afsos
Ke milta nahin hai kisi ko shams o qamar koi
Ho jaao gar gumraah kabhi zindagi men yaro
Kaash mil jaaye phir rahbar tumhen aur rahguzar koi
Ranj o gham ki khud karo masihaayi tum ‘sahil’
Gar na karey waqt na hi phir chaarahgar koi
Num chashm teary eyed
Dayaar e dil the region of the heart
Mukhtasar brief
Jahangir emperor
Khizar a prophet considered immortal a spiritual guide
Shikasta haara hua
Gauhar gem
Shams o qamar sun n moon
Rahbar guide
Rahguzar raasta
Masihayi to look after to care for
Chaarahgar doctor
Ashok sawhny ‘Sahil’