Rangon ki baaten aaj karni kya
Rangon ki baaten aaj karni kya
Rang laal hai haalat zameen ki
Siyaah aur safed rang nahin
Per baaten hoti hain inheen ki
Lahu to sabka hota hai laal
Harkaten phir siyaah kaisi
Zubaan hai dil se aaj door itni
Tirchhi sab ki nigaah kaisi
Woh adam kya koi aur tha
Baagh e iram khuld na tha
Rab ka banda insan woh pehla
Aisa to woh vahshi na tha
Dekh maula ab tu hi dekh
Bashar tere ka haal aaj
Jeena aisa muhaal hai
Inteqaal ka kya sawaal hai