Pukaarey sada subh ki sab ko shabnam ko dekh kar

 

Pukaarey sada subh ki sab ko shabnam ko dekh kar
Aao utho jaanaan tum bhi kabhi hum ko dekh kar

Na sahi khubsurat hum tumhaari tarah to kya
Muskura to lo kabhi apne sanam ko dekh kar

Chamakti hain jab bijliyan manind e barq e nazar
Falak ko dekhun ya tujhe chashm e num ko dekh kar

Satati hain chund yaaden sab ko waqt ba waqt zurur
Bhar aata hai dil kabhi nasoor zakhm ko dekh kar

Jaur o sitam ki baat kyon madd e nazar rakh, ‘sahil’
Khil uthta hai dil ab bhi pyaar mohkam ko dekh kar

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *