Mere hum nafas mere hum nawa

 

Mere hum nafas mere hum nawa
Maana kh-moshi ki hai apni sada
Ishaaron ki bhi jagah hai apni
Per, kabhi to mujhe mere naam se bula

Eji Oji ka hai rutba apna
Main samajhta hun kya hai sharm o haya
Per, yaad karegi mujhe tu kaise
Gar yaad na raha tujhe naam mera

Sohan ya tu mujhe Mohan bula
Farhaad ya Jallad bula
Javed to koi hai nahin
Naam rakhne se bhala kya hua

Gar nahin hai koi mere jaisa
To phir mujhe la saani bula
Pehchaan liya gar tu ne jaanam
To phir mujhe ashok sahni bula

‘Sahil’, bhi chalega zurur
Kinarey na hon to saharey kya
Tufaan o talatum to aate hain
Ghair na hon to phir hamaarey kya

Per faisla tere haathon men hai
Naam pukaar ke dekh lo tum
Hum to hain jo hain so hain
Hamen sudhaar ke dekh lo tum

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *