TRENDING NEWS

   Aaj pyaar o mahabat taar taar hai

Aaj pyaar o mahabat taar taar hai
Yehi jahan men fuzul ki maar hai

Zehaanat kidhar, unsiyat kahan, jab
Har insan yahan khud mukhtaar hai

Dahshat gardi ke ailaan goshe goshe se
Khuda hi bataye kaun gunahgaar hai

Puja aur ibadat to karte hain sab
Per kis ki, aur kaun sacha parastaar hai

Ehtiyaat ka baratna nadaani hai aaj
Goya, zeest apni nahin must.aar hai

‘Sahil’, daur e atfaal, woh ma ka gehwaara
Ahd e masumiyat, aaj haath men sabke talwar hai

Taar taar. In shreds
Zehanat. Wisdom
Unsiyat. Fraternity
Khud mukhtaar.  Self-sufficient
Dahshat gardi.  Terror. Devastation
Goshe. Corners
Parastaar. Worshipper.
Goya. As if
Must.aar. Borrowed
Atfaal. Childhood
Gehwara. Cradle
Ahd e masumiyat. Age of innocence

Ashok sawhny ‘Sahil’

 

 

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *