Aansuon ka behna kuch aur hai
Aansuon ka behna kuch aur hai
Rotey dil ki sada kuch aur hai
Ja sach ki hoti hai mohkam, magar
Kya jhoot ka maza kuchh aur hai
Anjaam zindagi ka to fana hai
Kya anjaam e qaza kuch aur hai
Baaten yaan amn o chain ki sab
Per afsos, tamasha kuch aur hai
Tu likhta hai ‘sahil’ per saleeqa tera
Aur tera yeh falsafa kuch aur hai
Ashok sawhny Sahil