Khushi ka humsafar to ranj o alam hai
Bataye koi kaun kis ka sanam hai
Khushi ka humsafar to ranj o alam hai
Bataye koi kaun kis ka sanam hai
Pursish ab kaisi soz e dil ki, yaro
Jab palken hain bheegeen, chashm num hai
Gumaan nahin koi, qaabil hai chaarahgar
Per hamdardi, ai naaseh, awwal marham hai
Himmat ki baat to baasil ki baat hai
Dikhana hai khud ko kitna mujh men dum hai
Aawaaz nahin hoti sada e dil ki , ‘sahil’
Izhaar kar de jab haath men tere qalam hai
Ranj o alam. Dukh
Chashm num. teary eye
Gumaan shak
Naaseh. Counselor
Baasil. Intrepid
Sada e dil. Dil ki aawaaz
Ashok sawhny ‘Sahil’