Gulon se puccho khalish kya hai khaar ki
Gulon se puccho khalish kya hai khaar ki
Wohi phir batlayen wuq’at bahaar ki
Sukoon ke talabgaaro tadap bhi to samjho
Kabhi be sabri bhi to dekho intezaar ki
Jeetega kya zeest men woh insan kabhi
Dekhi na ho fateh jis ne apni hi haar ki
Us ke khaanon men basta hai kaun, kahan
Tum dil se na pucho yaro vajah israar ki
Kashti na patwaar baaten phir bhi us paar ki
Aisi hi hoteen hain baaten, ikhtiyaar ki
Gar rishton men aa jaayen daraaren kabhi
Tab hoti hai haalat naazuk us deewaar ki
Khaak ka milna khaak se, ibadat hai bande
Khuzu liye chal baat kyon iftikhar ki
Deewaani hai duniya saari, nasha zar ka haavi
Samjha de tu sabko ‘sahil’ ehmiyat pyaar ki
Khalish. Chubhan
Wuq’at. Importance. Standing
Israr. Secret. Raaz
Khuzu. Inkisaari. Humiity
Zar gold. Wealth
Haavi. Overpower
Ashok sawhny ‘Sahil’