Story/Poetry

Kalaam ki baat ho to phir unwaan ki baat ho

Kalaam ki baat ho to phir unwaan ki baat ho
Khuda ki baat ho to phir shaan ki baat ho

Majaazi khuda to sab aise hain, yaro
Takabbur aur jhooti aan baan ki baat ho

Chamakte hain taare zamin pe kuchh waqt
Sitaron ka ho zikr to aasmaan ki baat ho

Mushkilon ka qismat se waasta hai kya
Daur aziyat ka ho to imtehaan ki baat ho

Badgumaani men lipta hua hai zamaana
Sochta hun ‘sahil’ kya shaitaan ya insan ki baat ho

Unwaan title heading
Majazi worldly
Takabbur ghurur
Aziyat troubles
Badgumaani distrust

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *