Story/Poetry

taaza kalaam

Kya lagte hain daagh daaman per dhoney ke liye
Aur kya sooyi dhaaga hai daaman rafu karne ke liye

Dikhaata hai sab ko aayena chehra asl hamesh
Imdaad nahin hai kaam uska, rukh sajaaney ke liye

Maathey per shikan, talkhi dil men nihaan, phir
Kehta hai sheesha zeest hai muskuraane ke liye

Kaasa ba dasti ka mafhoom to bata, ai shaikh,
Woh to hai tujhe khuzu sikhlaaney ke liye

Kya qaayede qanoon banaye jaate hain is liye
Ke badla jaaye unhen aur unhen todney ke liye

Insaan ki fitrat hai kuch na kuchh karte rehna
Kyon kaahil nahin, kya waqt daurta hai kaatney ke liye

Baat intekhaab ki hai ya yeh baat waqt waqt ki,
Kya chashm beeny ke liye hain ya roney ke liye

Faramosh insan bhoola hai kyon maqsad raat ka
Tufaan bhi kabhi ruk jaaya karte hain soney ke liye

Kis ne kaha tujh se naaseh maut aati hai maarney ko
Woh to aati hai bas rooh ko raah dikhaney ke liye

Dua ke jawab ke taalibo yeh bhi to samjho
Maqsad dua ka hai sukoon se milaney ke liye

Kabhi lagta hai kyon ab ‘sahil’ yeh mujhe
Banaya hai jahan ko khuda ne sirf deewaaney ke liye

Imdaad. Madad
Shikan. Frown
Talkhi. Bitterness
Zeest. Life
Mafhoom. Matlab
Khuzu. Humiity
Intekhaab selection. Choice
Kaahil. Idle
Beeny. Sight. Vsion
Faramosh. Forgetful
Naaseh. Counselor
Taalibo. Those desirous

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *