Maa

Pyaar thi, izzat thi,  Ma tu to meri ibadat thi
Firasat, meri hayaat, naseehat o hasrat thi

Teri god men pala tha, yaad woh ab nahin hai
Per teri aaghosh men, ai Ma, kul jannat thi

Samajhne men tujhe qaasir tha main, kotahi thi
Tu samajh meri se baahar thi, Rab ki barkat thi

Kiya jitna bhi tujhse main ne pyaar,  kum tha
Naadani woh meri, woh meri ghaflat thi

Munfarid hain maayen, manind e khuda, sab
Tu farishton se badh kar Rab ki ghanimat thi

Qurbaten huin naseeb umr bhar ‘sahil’ mujhe, per
Paak o muqqadas to bas Ma ki woh mahabat thi

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *