Sahil’, bas ghulaam koi aisa ab mil jaaye
Sahil’, bas ghulaam koi aisa ab mil jaaye
To waqt e ikhtetaam sukun se guzar jaaye
Ayena woh dikhlao jo har baat per meri
Qabuliyat men bas sar apna hilaaye
Is daur e peeri men woh har roz mujhe
Asr e Haal nahin, guzre zamane dikhlaye
Sur gham e dil ke khushi men badal jaayen
Bulbul ke naghme koi beetey sunaye
Maathe pe shikan yun saaf ho jaaye
Goya naya ek parcham rukh per lehraye
Hoton pe tabassum ho taaza o mustaqil
Dil bhi kuchh aisa ab mera muskuraye
Ho jaaye mojaza kuchh aisa hi ‘sahil’
To sar mera phir se ik baar jhuk jaaye