Zindagi badi deewaani hai

Zindagi badi deewaani hai

Khushi se beetaani hai

Kuch tum ga lo kuch main ga lun

Yeh to aani jaani hai

Maujon ki rawaani hai

Sukh dukh ki kahani hai

Kuch tum ro lo kuch main ro lun

Maano behta paani hai

Zindagi badi suhaani hai

Karti yeh man maani hai

Daastaan sab ki ek hi hai

Phir bhi mujhe sunani hai

Zindagi tu to faani hai

Yeh baat bhi puraani hai

Naya kya hai kuchh nahin ‘sahil’

Yeh to aani jaani hai

Zindagi badi deewaani hai

Yeh baat bhi daurahni hai

Kab aaye kab jaaye yeh

Karti yeh man maani hai

Zindagi badi deewaani hai

Note :

Faani : Mortal

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *