Story/Poetry

Rishtey Haseen Rehte Hain

Dosto, rishton ko utna hi pukhtah samajhiye
Jitna aap inhen mazboot rakhiye
Zindagi khud jab ek khel hai saanson ka
To is baat ki haqeeqat ko aap maaniye

Paidaaishi rishtey bhi utne hi qaaim
Utne hi pyaarey utne hi mulaaim
Jitni aap unhen ehmiyat den, yaad karen
Mahfooz rakhen kimkhwaab se narm

Dooriyaan to yunhi qareeb aa jaati hain
Jab woh qurbat ko rishton men nahin paati hain
Vajh jo bhi ho, masrufiyat ho, jhagre fitne hon
Jo bhi ho, mahabat hi unhen sanwaarti hai

Dosti yaari se badh kar koi rishtah nahin
Lekin, is men khoon ki dor to hoti nahin
Faayedey bhi hain aur kami woh is men
Woh zanjeer jo jin ki yaad bhulaati nahin

Zururi nahin hota ho mizaaj sab ka ek
Alag hain bande khuda ke banaaye huay
Chehre na tabiyat na haalaat un ke
Badal jaate hain log raastey chalte huay

Raahen alag, pagdandiyan alag, raftaar alag
Rafaqaten, nafraten, dil men pyaar alag
Per, hain to sab bande usi ek rab ke, phir
Intekhaab kyon aur kaisa, gul sab us ke, gulzaar alag

Pasandagi ko mat banaiye rishton ki buniyaad
Mukhtalif hain sab to asaas yeh kaisa
Insaniyat se ho mahabat, to kaafi hai
Ghazab hai nafraton ka ehsaas yeh kaisa

Patharon ki nadiyaan bhi pighal jaati hai
Daraaren bhi saari sambhal jaati hain
Gar, rakho tum dil o zahn men yeh baat
Sang dil ki kathorta ko yeh baaten narm banati hain

‘Sahil’, tu ghaafil mat hona is baat se kabhi
Vajh na banen teri ghaflat se yeh,
Rishtey to dilon se hi kiye jaatey hain
Dil ki aankhen to dil hi jaaney, magar tu bana le
Unhen rahbar, dost, rishtey haseen rehte hain

Pukhtah. Pukkey
Paidaashi rishtey. Ties of blood. Kin
Ehmiyat. Importance
Mahfooz. Keep secure. Care for
Kimkhwaab. . Baudekin, very precious silk and gold embroidered cloth
Qurbat. Closeness
Masrufiyat. Being busy
Jhagre fitne. Differences
Rafaqaten. Friendship. Intimate closeness
Intekhaab. Selection. Choosing
Gulzaar. Gardens
Pasandagi. To like
Buniyaad. Foundation
Mukhtalif different
Asaas. Foundation base
Ehsaas. Feelings
Daraaren. Cracks
Sang dil. Hard hearted
Kathorta. Salaabaat. Sakhti
Rahbar. Guide
Haseen. Beautiful
Ghaafil. Negligent
Ghaflat. Negligence

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *