Jahan hindu na koi musalmaan hai

Jahan hindu na koi musalmaan hai
Na sikh, isaayi sirf insaan hai
Us ja ka naam firdaus hai, ‘sahil’
Jahan khuda hi khud sabka mezbaan hai

Meethey bol shireen zabaan hai
Dukhi na koi na koi dil pareshaan hai
Sabke chehron per muskaan hai
Buzurg ya woh gabroo jawaan hai

Hirs o hawas ka naam nahin hai
Yahan koi kisi ka ghulaam nahin hai
Rab ke hain yahan bandey saare
Munsif aur mizaan nahin hai

Jurm yahan hota nahin hai
Koi kabhi bhukha nahin hai
Rab se waaqif hai har rooh
Neenden koi khota nahin hai

Sab ko prabhu mustaqil sukoon hai
Kisi ka nahin kabhi sar nigoon hai
Yehi hai jannat woh ghar khuda ka
Kab keh sakunga main garv o shaan se
“Sahil”, yehi mera aashiyaan, mera Hindustan hai

Ja. Jagah
Firdaus. Heaven
Mezbaan. Host
Shireen Meethi
Muskaan. Smile
Hirs o hawas. Greed and Desire
Munsif. Judge
Mizaan. Weighing scale
Mustaqil. Permanent
Sar nigoon. Ashamed

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *