Yeh kya hai Bhagwan, bata Khudaya
Yeh kya hai Bhagwan, bata Khudaya
Khaamiyaan mujh men, ya teri yeh maaya
Kabhi yahan, kabhi wahan, bhatakta hun main
Kabhi dil, kabhi khala men, yeh kya hai bata
Kahin moorti, kahin tassavvur, kahin kaafir ka dil
Mandir, kahin masjid, kaleesa kahin tamaasha
Tujh ko dhundta hi rahunga ta umr ,Ya Rab,
Justaju men teri kya raegaan hi rahunga
Gar libaas e majaaz men na dekha tujhe,
Khud ko tassali kya dilaaunga, tu hi samjha
Momin hun, ya rab, per itna pukhtah bhi nahin
Badgumaan nahin, phir yeh shak kyon aur kya
Sunte hain baaten daanaayi ki, der ki, andher ki,
Prabhu, per tere noor ke bina main mukammal andha
Tu ho ru ba ru to baat kuch aur ho, Maalik
Guzre tere dar per meri zindagi, Maula
“Kabhi ai Haqeeqat e muntazar nazar aa libas e majaaz men
Ke hazaaron sajde tadap rahen hain meri jabeen e niyaaz men”
(Alaama Iqbal). Very famous Lines.
Khaamiyaan: shortcomings
Tassavvur : contemplation imagination
Kaleesa. Church
Ta umr. Life long
Raaegaan: unsuccessful
Libaas e majaaz. In worldly attire
Momin. Believer
Pukhtah. Firm
Badgumaan. Suspicious. Doubting
Daanaayi. Wisdom
Noor. Refulgence. Raushani
Mukammal Andha. Completely Blind