Baaten mat banao koi kaam ki baat sunao
Baaten mat banao koi kaam ki baat sunao
Bujh jaayegi sham’a jaanaan, aaj ki raat sajao
Chaman se ja chuki hai na jaane kahan bahaar
Udaas hai har kali, bulbul, chund naghmaat hi sunao
Vaaiz, suna tha tera khutba aala tha woh bahot
Rah e khuda per chalta hun tum saughaat hi dilao
Samajhta hai kaun rang o bu tum se behtar, ai mussavir
Tasweer is jahan ki sabko, tum woh haalat hi dikhlao
Aasaan kya hai yaro, aasaan to nahin hai kuchh bhi
Jab marna bhi aasaan nahin hai to mushkilaat hi sunao
Tum to likhte hi raho ‘sahil’, shaair tum kya banogey
Aaye jo dil men tumhaarey, woh qalam dawaat hi chalao
Vaaiz. Preacher
Khutba. Sermon
Saughaat. Gift
Rang o bu. Colours and Scents
Mussavir. Painter. Tasweer banane wala