Hum kya jaanen un baaton ka Saveron aur un raaton ka
Hum kya jaanen un baaton ka
Saveron aur un raaton ka
Mukhbiri ka woh jahan
Doghli un zubaanon ka
Ajnabi un doston ka
Jaal woh anjaanon ka
Dil ke raaz, man ki chaalen
Andheron men mulaqaton ka
Munafiqana woh andaaz
Milna julna dhokon ka
Honge log hamare jaise
Jahan woh jaasooson ka
Khuftah aur khufiya donon
Daaira mukhbir insanon ka
Duniya woh alag hai, yaro
Sab nihaan, jahan saayon ka
Aaj kahan hai amn o chain, kaho
Raaj baazookon aur bandookon ka
Kya banta ja raha hai, ‘sahil’
Jahan, jangal yeh haiwaanon ka
Ashok sawhny ‘Sahil’