Fayede nuqsan se jahan nahin chalta
Fayede nuqsan se jahan nahin chalta
Raat ke kehne se suraj nahin dhalta
Hukm chalta nahin hai neend pe kisi ka
Khwabon ka silsila aise nahin banta
Khaaron ko na dekha gulon se jhagarte
Jaane insan ka insan se kyon dil nahin lagta
Zameer kya shai hai bata vaaiz hamen
Kyon kaha us ka insan aksar nahin sunta
Bharne bharaane ki baaten bahot, lekin
Sitam pe sitam se to zakhm nahin bharta
Munfarid hai khuda baatin men sab ke
Justaju se ‘sahil’ kabhi sukoon nahin milta
Ashok sawhny Sahil