Khaak na ho to tukhm kya karey
Khaak na ho to tukhm kya karey
Kaho phool phir woh kaise baney
Aaj ka rang woh gulaab ka
Kal to woh khaak se hi miley
Zururi kitni hai khaak, socho
Jab jism bhi ik roz usi se miley
Zameer sab ko aagaah karey
Per aaj baat us ki koi na suney
Naam bata us shai ka ‘sahil’
Jo rishta khaak se na jorey
Ashok sawhny Sahil