ENTERTAINMENTINDIAStory/PoetryTRENDING NEWS

Suna tha kisi ko kehte

Suna tha kisi ko kehte, ke achha lagta nahin hai dekhna musalman ko haath phailaye huay
Kya achha hota gar kehte huzur, achha lagta nahin hai dekhna insan ko haath phailaye huay

Yeh mazhab ke hangaame, siyaasi yeh draamey, inse Rab hi bachaye, yaro
Aaj to dekhne ko miltey hain har su jahan men, sirf shaitaan ko haath phailaye huay

Ghalat istemaal mazhab ka, ahl e siyaasi ko ho mubarak, wo baantna jaante hain
Khuda ne insan nek banaye, haif, hum aaj dekhte hain imaan ko haath phailaye huay

Vaaiz, ab kaun samjhaye jahalat ko daanishmandi ke dastoor aur usool
Kya dekhenge ab ik roz hum, be bas aasmaan ko haath phailaye huay

‘Sahil’, gar badhti rahi taadaad majazi in khudaon ki, tab dekhenge hum log
Jaavidaani ke saraab men aur meer e kaarwaan ko haath phailaye huay

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *