Mafhum e jaan gudaaz samjhaye koi
Mafhum e jaan gudaaz samjhaye koi
Nakhrewalon ka andaz samjhaye koi
Bande khuda ke jab ek hain saare
Koi buzdil , koi jaanbaaz, samjhaye koi
Kisi aur ki sada to koi sunta nahin
Ab zamir ki aawaaz samjhaye koi
Badalte hain manzar hayaat ke yun hi
Kaun haqeer kaun sarfaraaz samjhaye koi
Taqreeron ka mausam ab aan para hai
Hamen to ishq ki namaaz samjhaye koi
Dekh kar to lagta hai ‘sahil’ bhi momin
Ab us ke jeene ke raaz samjhaye koi
Jab bartar hai khaak phir pursish yeh kaisi
Yaro, ke sukoon e gilsaaz samjhaye koi
Ashok sawhny Sahil