Kyon jhijhakte ho tum mulaqaat se
Kyon jhijhakte ho tum mulaqaat se
Subh bhi to mila karti hai raat se
Hotey hain pyaare zakhm ulfat ke kuchh
Takleef zyada nahin hoti us saughaat se
Bolna hai aasaan, bahot aasaan taqreeren
Firasat to milti hai qalam dawaat se
Aaj daulat se milti hai duniya to saari
Per koi chain nahin milta auqaat se
Yaro, rooth te ho kyon qismat se tum
Usey bhi to hukm milta hai Rab ki zaat se
Aqeedah hai imaan, khuda sabka ek
Per nahin milta hai woh tehqeeqaat se
Khel sab naseeb ka hai, mehr sab khuda ki
‘Sahil’, kisey aur kya milega kaaenaat se
Ashok sawhny Sahil