Kya Chahiye
Kya Chahiye
Khuda tak pahunchne ke liye to aasmaan chahiye
Naghma sunana ho to dil shaadmaan chahiye
Gulon ki zururaten to hoti hain be shumaar
Per, chaman ko to bas ek baaghbaan chahiye
Kabhi rukey na waqt na ravaani e aab
Logo, zindagi bhi to sab ko ravaan chahiye
Daur e asr men hunar hai nukta cheeni, haif
Aaj auron ka sab ko sirf nuqsaan chaahiye
Ghalat hai mafhoom aaj khud aitmaadi ka
Unsiyat chahiye hamen na ke kisi ki jaan chahiye
Jisey dekhiye woh majaazi khuda hai aaj
Har ek ko bas jalwa aur jhooti shaan chahiye
Yeh jhagre yeh fitne har taraf ki barbaadi
Ghaafil insaan tujhe to pukhtah imaan chahiye
‘Sahil’ itna kuchh chaahiye aur talab itni saari
To jahan ko bhi phir insan bin gumaan chahiye
Ashok sawhny ‘Sahil’