Sabr o tasleem yaani aalaa firasat
Sabr o tasleem yaani aalaa firasat
Sab se awwal hai khuda ki ibadat
Jo haasil na hua woh qismat na thi
Jo hua woh Rab ki thi ghanimat
Paseenay se behtar koi dawa nahin
Dua ka doosra ism hai mushaqqat
Khud parasti mahabat nahin hai yaro
Auron se pyaar ka naam hai ulfat
Dil ki suno, zahn to bahot shaatir hai
Zameer batlaye sahi kya aur kya ghalat
Khuzu se badh kar to kuchh nahin
Mutaradif uska hai ibadat
Dil o zameer kis liye hain, naaseh
Kya karni jahan ki muft naseehat
Prabhu/khuda, ek subh aur, shukr tera
Is se badh kar nahin koi daulat
‘Sahil’, karte hain baaten log Rab ke karam ki
Zindagi to khud hai uski saughaat o nemat
Tasleem accetance
Mushaqqat. Mehnat
Khud parasti. Narcissism
Shaatir. Chess player. Cunning
Khuzu humility
Mutradif. Synonym synonymous
Zameer. Conscience
Saughaat. Gift
Nemat. Blessing
Ashok sawhny ‘Sahil’