Woh Shaam Savere
Woh Shaam Savere
Qaul mere vachan tumhaare
Kidhar gaye woh shaam savere
Rootha kyon hai suraj aaj
Har su phaile ghor andhere
Safiney kyon girdaab men sab
Muntazir hain jab kinaarey
Yaad hai dunya mauji yaro
Fauji hain aaj log bhi saare
Mera nahin yeh aayena ‘sahil’
Mukhatib is ke chaand sitaare
Tu hi un se puchh kar dekh
Kyon bhaagte hain woh maare maare
Ahl e siyaasi har ja hain ek
Khwaab dikhlaate sab sunehrey
Ja’ali farzi hai aaj dunya
Yaro, kidhar gaye woh shaam savere
Ashok sawhny ‘Sahil’