Achha hai bahot zood pashemaan hona
Achha hai bahot zood pashemaan hona
Apni khaamiyon ka jald pehchaan hona
Bargashta bhi hai jab zubaan yeh kambakht
To bura na hai, kuchh der be zubaan hona
Aasmaan ke qareeb, hamraaz woh taaron ka
Qismat ne likha hai koh e giraan hona
Ghaafil na hona is baat se tum kabhi
Hukm taqdeer ka hai imtehaan hona
Khwahaan ho izzat ke to khud ko samjhao
Zuroori hai tumhen qadardaan hona
Qurbaani ke daawe aur lafzon men pyaar
Per laazimi hai pukhta dil o imaan hona
Raahi hain sab aur raah sab ki ek, phir
Naguzeer nahin hota mir e kaarwaan hona
Manzil jab sab ki hai baargaah e khuda
Koi aagey koi pechhe phir kyon pareshaan hona
Maqsad e zeest kya hai, sawaal hai yeh kaisa
Bahot kaafi hai ‘sahil’ kisi ki jaan hona
Ashok sawhny ‘Sahil’