Tapke jab bhi asnsu apne yaad aaya phir shabaab hamen
Tapke jab bhi asnsu apne yaad aaya phir shabaab hamen
Woh mah o anjum, subh ki shabnam, guzre kal ke baab hamen
Tifli ke woh beetey din, dagmagaatey they jab qadam
Roothey aur woh hanste pal, yaad aaye phir ahbaab hamen
Bahaar hi bahaar thi, nishan khizan ke to they nahin
Gul aur hum they pur sukun, miley na behtar asbaab hamen
Chund dars miley shabaab men buzurgon se tab aise
Samjhe mainey hayat ke, na tang kiye phir saraab hamen
Zamana hi kuch aisa tha, ek baradari thi fizaon men
Miley tab be saakhta sawalon ke sab jawab hamen
‘Sahil’, Maula ho jab nakhuda har kashti e safar ka
Phir fikr kya talatum ki, miley jo miley sawaab hamen
Shabaab. Youth
Tifli childhood
Ahbaab. Friends
Asbaab. Things properties
Dars. Lessons
Saraab mirage
Be sakhta spontaneous
Nakhuda. Oarsman
Talatum storm
Sawaab. Compensation reward