Story/Poetry

Baadalon ki riza ho to mumkin baarish ho jaaye

Baadalon ki riza ho to mumkin baarish ho jaaye
Mil jaaye aaftaab agar to jaane kya saazish ho jaaye

Mah o anjum o aftaab, gar yak ja hon kahin, to
Hairatzada phir kaisi yeh batao gardish ho jaaye

Jalte dekh parwaane ko, haal dil ka phir jaane kaun
Jazba uthe mohabat ka to kahin sozish ho jaaye

Firasatmandi dekhi teri, ai firasatmand hum ne
Naseehat zameer ki maan le to mumkin daanish ho jaaye

Saadagi kab samjhenge ‘sahil’ kashish us ki kab
Saada rukh bhi chand ke aks se, mehwish ho jaaye

Riza. Marzi
Saazish. Conspiracy
Hairatzada. Awesome
Gardish. Revolution
Sozish. A burning
Firasatmandi wisdom
Zameer. Conscience
Daanish. Wise
Kashish. Attraction
Mehwish. Pretty. Bright star

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *