Sochta Hun
Sochta Hun
Sochta hun sab se kharaab jazba kya hai
Sochta hun kya jazba e tanz hai naam us ka
Phir, sochta hun ke shayad vashahat gardi hai
Aur intehayi barbaadi hai kaam us ka
Sochte, sochte, aata hai yeh bhi khayal mujhe
Chalo, puchhun us se khuda paak hai naam jis ka
Sawaal khuda se hai badi himmat ka kaam, yaro
Zariya ek hai aur mahz ilteja hai naam us ka
Ghaflat aati hai meri mere hi saamne, yak dum
Sochta hun kaenaat hai us ki, to hoga phir nizam us ka
Jawaab nahin bas utha dil men yeh khayaal mere
Bura to bura hi hai, naam jaur o sitam us ka
Kharaab, sab se bura, yeh tarteeb e taareekh kaisi,
‘Sahil’bura to bura hai boli sada e ghaib hai naam jis ka
Tanz. Sarcasm. Irony
Vahshat gardi. Devastation
Ghaflat. Negligence
Kaenaat. Universe
Nizaam. Arrangements
Jaur o sitam. Tyranny
Tarteeb e taareekh. Chronological order
Sada e ghaib. Voice from the heavens
Ashok sawhny ‘ Sahil’