Story/Poetry

Puchhte ho sawaal roz, maangte ho duaen hazaar

Puchhte ho sawaal roz, maangte ho duaen hazaar
Iman ka meyaar aur kya hai gar sabr o yaqin nahin

Mah o anjum o aaftaab, kaaenaat hai saari rab ki
Shai khokhli hai dunya aisi kuchh mateen nahin

Qabze kiye phirte hain aur ailaan fateh ka har ja
Nahin hai kisi ka aasmaan shaikh, na hi zamin kahin

Rakht e safar kya hai dosto jab zindagi hai faani
Mustaqil hai kaun yahan zeest hai aani jaani

Jism ka hissa hai zurur shai itni yeh badnaam kyon
Zubaan sirf zubaan hai yaro, talkh o shirin nahin

Puja kar, namaaz padh , tasbeeh o maala pher le
Phir bhi bata ai ‘sahil’ kyon hai dil men taskin nahin

Ashok sawhny ‘Sahil’

Meyaar. Measure
Mateen strong firm
Rakht e safar. Provisions for journey
Mustaqil. Permanent
Talkh. Bitter
Tasbeeh. Rosary
Taskin. Calm sukun

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *