Aasaan hai rooth jaana aasaan nahin manana
Aasaan hai rooth jaana aasaan nahin manana
Naazuk bahot hai ‘sahil’ zanjeer e dostana
Fikr kyon hai charahgar, iltiyaam ki tujhe
Zakhmon ki to fitrat hai un ka bhar jaana
Muqqadar sab ka apna hai qismat se kya giley
Parwaane ka naseeb hai sham’a se jal jaana
Pursish ki gulon ne jab shikan na honey ki
Arz kiya tabassum ne meri fitrat hai muskarana
Jannat se koi ja nahin mazeed buland kahin
Bana lo pur sukoon tum apna hi ghareeb khaana
Dekhiye dervesh ko majnun ko bhi kabhi
Ek rab ko chahnewala, ek laila ka deewaana
Ghabrata hai kyon andheron se tu, ai insan bata
Raat ka to kaam hai thakey haarey ko sulana
Wohi log hain aaj bhi jo hua karte they kabhi
Badli hai to soch insan ki badla hai zamana
Jalwagah hai duniya yaad rahey shaair
Soorat se kya lena dena bas seerat ho sufiyana
Jald baazi se haasil kya raftaar waqt ki badlegi na
Sabr ka hi naam hai ‘sahil’, himmat e mardaana
Zanjeer e dostana. Chain of friendship
Charahgar. Doctor
Iltiyaam. Healing. Soothing
Fitrat. Nature
Pursish to ask
Shikan. Frowns
Tabassum Smile
Buland Higher. Greater
Mazeed. Zyada
Ghareeb khaana. Home
Abid. Worshipper
Shab. Raat
Jalwagaah. Theatre