Waqt ko waqt dijiye aur guzarte lamhaat ko bhi
Waqt ko waqt dijiye aur guzarte lamhaat ko bhi
Din ko sambhaal lijiye to sambhal jayegi raat bhi
Sochne se kya hovey hai dekhne se kya dikhey
Kijiye jo karna hai ban jayegi phir baat bhi
Waqt nikaaliye, dil men jhankiye, kijiye phir guftagu
Sukoon milega, hogi khud se qareebi mulaqaat bhi
Parwaaz uqaab ka dekhiye, achanak us ka hamla bhi
Misl e uqaab machalte hain dil men sab jazbaat bhi
Waqt ko mat kosiye hum safar woh hai be chaarah
Umeed uski bhi to hogi, khatm ho daur e aafaat bhi
Bhoolta hai tu insan kyon, ped paudey usi rab ke hain
Duaaen usi se maangte hain woh, aur saari kaaenaat bhi
Rakh tasawwuraat se mel, zindagi farsooda hai, ‘sahil’
Mil jayenge phir tujhe woh qalam aur dawaat bhi
Lamhaat. Lamhe
Parwaaz. Flight
Tasawwuraat. Imagination
Farsooda. Hackneyed. Ghisi pitti