sahil’ ko naseehat
Jhukte hain shajar bhi saare samar ke woh vazn se
Shukr kar Rab ka ‘sahil’ aur tu bhi ab aaraam kar
Koshish kar le tu jo chaahe, tujh se jo ho sakey
Anjaam saare ai insan, Rab ke tu naam kar
Maikhane aur mai ko tu sumundur ke supurd kar
Ek ek kar ke mai e naab ke khaali tu sab jaam kar.
Nek iradon ka maalik ban paak tera libaas ho
Karna hai jo kar le ab magar sar e aam kar
Naseem ke jhonkon men ai ‘sahil’ doob ja ab khwabon men
Waqt e ikhtetaam hai hayaat ko tu salaam kar
Ashok sawhny ‘Sahil’