Waqt ke sholey zulmaton men raah hamen dikhlaate hain
Waqt ke sholey zulmaton men raah hamen dikhlaate hain
Andheron se hai darna kaisa yehi woh batlaate hain
Sham’a kehti hai jalnewalon se paas mat aao, tum jal jaoge
Parwaane magar jaan apni har dum daaon pe lagaate hain
Suraj na ho to chaand kaisa aur taarey phir kaho honge kahan
Mil kar yeh subh shaam ka rukh sab ke liye chamkaate hain
Khwab to khwab hotey hain bas, taabeeron ki vazahat kyon
Kya unhen kuch nahin hai karne ko jo hamen yeh samjhaate hain
Lamhaat ki justaju hai sabko per waqt to rukta hai nahin
Deewaane insan waqt se phir minnaten kyon karte hain
Zindagi to ik shai hai ‘sahil’ hamare saanson ki badaulat
Daanishmand woh insan sab jo jashn is ka manaate hain
Ashok sawhny Sahil