Shab ki hai saver se alag guftagu
Shab ki hai saver se alag guftagu
Mukhtalif iraade mukhtalif justaju
Neendon ki tamanna khwabon ki aarzu
Zulmat se chhutkaara ik nayi rang o bu
Aftaab wohi chaand bhi taare sayarey sab
Raushani sabki wohi hai, ja ba ja, ku ba ku
Peeth peechhey baaten karni shughal raegaan
Kaho jo kehna hai himmat se ho kar ru ba ru
Sukun ki justaju men masruf talaash ja ba ja
Jisey dekhiye jahan men aaj hai shokh e tund khu
‘Sahil’, puchha main ne khuda se tu bata hamen
Banaya tu ne insan kaisa, kyon na tujh sa hu ba hu
Ashok sawhny Sahil