Baaten har waqt qaraar ki kya dil sab be qaraar hain
Baaten har waqt qaraar ki kya dil sab be qaraar hain
Kya lamhaat hamari zeest ke do chaar musta’ar hain
Baat nazariye ki hai vaaiz kitaaben sab yeh falsafe ki
Shayad asl men rehne waale hi asl hoshyaar hain
Shaitaan aur farishton ka gehra hota hai raabita
Qareeb chaman men hotey jaise sab gul o khaar hain
Dekha nahin kisi ne jannat na jahannum kahin
Dozakh ke hi nazarey hamen phir kyon nagawaar hain
Tu mausamon ki baat kyon karta hai ‘sahil’ bata
Hum bhi to tere saamne misl e khazan o bahaar hain
Ashok sawhny Sahil