Jhuka hua sar to koi saza nahin hoti
Jhuka hua sar to koi saza nahin hoti
Inkisaari se badh kar ada nahin hoti
Mamnoon rehna farz hai insan ka zurur
Iltejaon ki koi jaza nahin hoti
Mahabat, lafzon se kaamil nahin hoti
Dil sacha na ho to wafa nahin hoti
Mausamon men ja simoom ki hai apni
Us ke chalne se baad e saba nahin hoti
Laazim hai behna khoon aur paseena
Umeedon se shab kal subah nahin hoti
Marifat jo samjhe aur us raah pe chale
Usey darkaar e noor e khuda nahin hoti
Har shai ka maqaam us ka apna hai ‘sahil’
Siwa khuda ke to koi riza nahin hoti
Ashok Sawhny Sahil