Kaise jaanun kitni mere dil ki soz e tanhayi hai
Kaise jaanun kitni mere dil ki soz e tanhayi hai
Aaj raat to andheron se bhi zyada andheri hai
Baaten tanhayi ki raegaan hain shayad, zara socho
Akela kaun hai jahan men sab ke saath to ilaahi hai
Vaada kiya khamoshi ka khud se main ne aaj, phir
Valavale yun ubharey aise, bolna meri gustaakhi hai
Bayaan kar gaya be saakhta, dil apne ki main haalat
Hawaon ne uraayi baaten aisi ke sab ko aashnayi hai
Cheekh aayi jab girdaab se safeeney ki to phir
Kyon sahil se na hila koi, kya be hiss aaj tamashayi hai
Tu to arif hai vaiz baat tassavvuf ki ho to bata
Tere khayalaat se kya dervesh ki pazeeraayi hai
Parwaaz tujhe mubarak, chand taaron se guftagu
‘Sahil’, rishta mera hai khaak se aur gehri shanasayi hai
Ashok sawhny Sahil