Zameer se juda to insan phir bedaar kya hai
Zameer se juda to insan phir bedaar kya hai
Khudgharazi men koi phir hoshyaar kya hai
Basa lo tum Rab ko dil ke khaanon men agar
Phir, rah e khuda kya aur rahguzaar kya hai
Be qaraari nahin, sukun mukammal ho dil men
Yeh dil ke goshe men phir intezaar kya hai
Qurbaani ki hoti hain baaten zurur
Hamen bhi batao teer ka aar paar kya hai
Jaan jaati nahin dil dhadakta hai, paheli kya
Aakhir qaza ke aaney ki raftaar kya hai
Gar falsafiyana nahin to phir bata hamen
‘Sahil’, teri rooh e mauzu e guftaar kya hai
Ashok sawhny Sahil