Guzarta hai din jiska khayalon men
Guzarta hai din jiska khayalon men
Aasmanon ke woh qareeb hai
Zameen se meelon door bahot
Magar, tanha aur woh ghareeb hai
Raushan sitaarey har taraf
Per, dost na koi habeeb hai
Kaise kehte ho tum najumi kaho
Ke taaron men sabka naseeb hai
Gul chaman men khubsurat bahot
Haseen wahan andaleeb hai
Fazaon men kya mila kisi ko
Uqaab bhi wahan ajeeb hai
Phadphadana to aata nahin
Woh insan jo tabeeb hai
Parinde banenge dost uske kya
Jo sahil pe awwal labeeb hai
Zameen aasmaan to ek hai
‘Sahil’ ek hi un ka mujeeb hai
Mah o mehr ghulaam uske
Jahan ka woh raqeeb aur habeeb hai.
Ashok sawhny Sahil