Urdu Gazals in Roman script written by Ashok Sawhny ” Sahil”
Jazba e mahabat
Zan muridi bhi ajab aamiaana jazba hai
Izhaar e mahabat hai ya mahabat ka taqaaza hai
Maidan e jung nahin hai, mahabat hai yaro
Yun samjhiye barabar ka yeh tamasha hai
Mahabat karnewaalo mat bhulna tun kabhi
Mahabat karnewaala khuda nahin fida hai
Na ki ho mahabat to baaleedagi kya jaano
Mahabat ke muqaabil aur bulandagi kya hai
Sitaaron ki tamanna yeh khwahish hai kaisi
Jab mahabat men mumkin parwaaz karna hai
Nahin hoti hai tafreeq mahabat men koi
Na aala koi ‘sahil’ na koi apna hai
———————————————-
Jitne log utni hi hoti hain fuzul ki baaten
Ab tum hi kaho kis ki sunen aur kis ki maanen
Qissey to hotey hain faani aur do roza sab
Amar hoti hain bas dilchasp purani daastaanen
Kya guzri hai qatre per azamat ki justaju men S
ach to nahin hoti hain gauhar ki saari baaten
Bina daagh na mah na bin khaar hai gulaab
Kahan hoti hain suhaani sab shaamen aur raaten
Bin baal o par karta hai dil khalaon men parwaaz
Rokengi kya ‘sahil’ ko bhala yeh majaazi sarhaden
Faani. Mortal
Do roza short-lived
Azamat. Greatness
Justaju. Talaash
Gauhar. Pearl
Khaar. Thorn
Bal o par. Featherless
Khalaon. Empty spaces in the skies
Parwaaz. Flight
Majazi sarhaden. Worldly boundaries
———————————————–
Lab e darya nazar na aayi raftaar aab ki
Kuchh isi tarah thi aaj ravaani sharaab ki
Dil ki dhadkanen to ruk bhi jaati hain yaro
Baat mat kijiye janaab dil e betaab ki
Sar jhuka, farz nibha, kaar apna karte ja
Usey kya milega jisey aarzu ho sirf sawaab ki
Andheron men chal rahey they kab se hum
Shukr hai jab mehr hui raushani e mahtaab ki
Har lamha to nahin guzarta hai shaadmaan kabhi
’Sahil’, jagah apni hai zindagi men azaab ki
Lab e darya. By the riverside
Ravaani. Flow
Betaab. Restless
Kaar. Kaam
Sawaab. Reward
Shaadmaan. Happy
Azaab. Stress. Misfortune trouble