Kuchh udaas hai dil justaju hai taskeen ki
Kuchh udaas hai dil justaju hai taskeen ki
Zururat hoti hai sab ko ik hum nasheen ki
Humnawa na ho to phir batlaye koi
Kya karenge nazakat hum mah jabeen ki
Hamdardi bharpoor saada lauhi zurur
Darkaar phir kyon ho kisi aafreen ki
Nahin hoti paabandi parwaaz per koi
Gar tasweer zahn men ho apni zameen ki
Kyon bhoola hai insan insaniyat ko aaj
Baaten sab taaqat aur fuzul tamkeen ki
Khayalon ko ‘sahil’ dar guzar mat kar
Salahiyat hai un men arsh e bareen ki
Ashok sawhny Sahil